Friday, December 23, 2011

Aaj neend bhi naraz hai..!!


Aaj neend bhi naraz hai,,

Kishi aahat ki mohtaz hai..


Aaj ki rat bhi hai badi nasheeli,,

Us par kayamat, chand bhi naraz hai..


Sayad ab pukarega wo mujhe,,

Wo jo meri jindgi ki aawaz hai..


Chahu ya na chahu yahi kas-ma-kas hai,,

Use jo mera hamraaz hai..


Ye rat sayad na guzare ‘KASAK’,

Entazar hai uska, aur waqt bhi naraz hai..


Aaj neend bhi naraz hai,,

Kishi aahat ki mohtaz hai..

No comments: