Thursday, December 29, 2011

एक इबादत अगर मेरी सच हो जाये...!!!


Ek ebadat agar meri sach ho jaye,

To khuda se mai tujhe mang lu....


Agar mil jaye muhalat jindagi se,

To maot bhi mai tere sath lu....


Na jane kahan tak chalega KASAK,

Jahan bhi ruku, safar mai tera hath lu....


Wo pa ke bhi tum mujhse door ho gaye,

Aur chauro pahar mai tera name lu...


Chalti hai sanse tujhe dekhkar bas

Es dil ko bhi ab mai kya elzam du....


Wo muskana tera, wo pyari ada

Bas har ek khusi mai tera ahshan lu.....

Monday, December 26, 2011

Aaj ki subaha badi haseen hai..!!


Aaj ki subaha badi haseen hai..

Aaj un parindon ko dekha maine,,

Jinhen kuch dino se khoj raha tha..


Wo aaye the meri munder pe,,

Aur mujhse baten bhi ki..

Unki baton ki chah-cha-hat pyari thi..


Ab talak hai zuban par,

Wo baton ki meethi chasani..


Aur ab bas kuch hi pal,

Baki rah gaye hai,

Un parindon se milne ko..


Wo parindey jo meri udaan hai,

Wo parindey jo KASAK ki jan hai..

Mai un parindo ko khoj raha hu...!!


Mai un parindo ko khoj raha hu..

Jo roj mere pass aakar,
Mere kano mai rash gholte the.
Jo roj apne pankhon se,
Mere jeevan ki khushiya tatolate the..

Aaj shayad unke pass rang nahi hai,
Mere sapno mai bharane ke liye..
Aur na shayad wo khushiyo ke par,
Mere dil mai utarane ke liye..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinki chah-chahati aawaj se,
Meri subaha hoti thi..
Aur sham ko jinki louri sunke,
Mere aankhen soti thi..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jo naraj to hote the hamse,
Par pyar bhi karte the..
Aur jab dil mai dard hota tha,
To aankhon se gujarate the..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinse guftagu karte-karte,
Mera din gujarata tha..
Jinse milne ke liye mai,
Din rat sabarata tha..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jo ab kisi aur ke ho gaye hai..
Kal-talak to yahi the, par aaj kho gaye hai..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinme meri jan basti hai,
Jinse KASAK ki hasti hai..
Jab the to ahashash tha,
Aaj aankhe tarasati hai..

Mai un parindo ko khoj raha hu..
Mai un parindo ko khoj raha hu..

Khushi ko dekha to hai maine…!!!


Khushi ko dekha to hai maine…

Wo mere ghar aayi to thi,,

Darwaje pe dastak bhi di thi..


Maine darwaja khola bhi tha,

Andar aane ko bola bhi tha..

Par wo choukhat ke andar nahi aayee,

Bas bahar se hi thoda sa muskarayee..

Jaise ki hash rahi ho

Meri takdeer pe,

Hathon ki lakeer pe..


Aur ye hadsha kayi bar ho chuka hai,

KASAK use pake kayi bar kho chuka hai..


Ab to sochta hu ki kisi bhi aahat pe

Darwaja hi na kholu,

Kisi ko ghar ke andar

Aane ki na bolu..


Par ab bhi shayad,

Us khushi ka entazar hai,

Jo kuch din pahle hi aayi thi.

Kuch pal ke waste

Ruki bhi thi darwaje pe..

Par fir bahi kahani,

Khali ghar mai virani..


Par mujhe yakeen hai,

Wo fir se aayegi,,

Esaliye darwaje par,

Aankhen bichha ke rakhta hu

Aur ab jab wo aayegi,

To use rok lunga,

Aur kahunga ki,

Ye ghar tumhara hai


Ye ghar tumhara hai….

Friday, December 23, 2011

Aaj neend bhi naraz hai..!!


Aaj neend bhi naraz hai,,

Kishi aahat ki mohtaz hai..


Aaj ki rat bhi hai badi nasheeli,,

Us par kayamat, chand bhi naraz hai..


Sayad ab pukarega wo mujhe,,

Wo jo meri jindgi ki aawaz hai..


Chahu ya na chahu yahi kas-ma-kas hai,,

Use jo mera hamraaz hai..


Ye rat sayad na guzare ‘KASAK’,

Entazar hai uska, aur waqt bhi naraz hai..


Aaj neend bhi naraz hai,,

Kishi aahat ki mohtaz hai..

Teri aankhen ek kahani kahti hai....!!!


Teri aankhen ek kahani kahti hai,

Mouzo ki rawani kahti hai…


Kabhi karti hai esharon se baten,

To kabhi narazagi aur hairani kahti hai…


Kabhi dekhti hai hume pyar se,

To kabhi ezahar-e-zubani kahti hai…


Kabhi jhalakti hai ename se sarab,

To kabhi muhabbat ka pani kahti hai…


Kabhi jhukti hai sazade mai humare pyar ke,

To kabhiezahar-e-pyar bezubani kahti hai…


Teri aankhen ek kahani kahti hai,

Thursday, December 22, 2011

Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…


Ek Umer ke Baad Us ko Dekha

Aankhon Main Sawaal Thay Hazaron

Honton pe Magar Wohi Tabbassum
Chehrey pe Likhi hui Udasi

Awaaz Main Goonjti Judai
Main Kaise Shajar Se Katee Raah Tha

Woh Ponch Raha Tha Aansoo Merey
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…

Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…

Tuesday, December 20, 2011

Kya hote hai sapne..???


Kya hote hai sapne..???


Kyo ye etane hasheen hote hai….???

Ke har waqt unke poore hone ka entazar rahta hai…

Kyo ye etane namkeen hote hai….???

Ke tootane par bhi zuban par enka swad rahta hai….


Kyo hote hai ye etane apne….???

Ke door jate hai to jan nikal jati hai…

Kyo hote hai ye etane paraye….???

Ke pass hote huye bhi tasbeer badal jati hai…


Kyo ye etane rangeen hote hai…???

Ke sach ho jaye to jndagi rangeen ho jati hai

Kyo hote hai etane berang….???

Ke dekhte hi dekhte tashbeer badal jati hai….


Kyo ye etane sacche hote hai…???

Ke har pal lagta hai ke ab sach hone ko hai….

Aur kyo hote hai etane jhoothe….???

Ke ek pal mai lagta hai hum sab kuch khone ko hai…..


Kya hote hai sapne..???

Monday, December 19, 2011

Ek tamanna dil mai dabi hai...!!!!!!


Ek tamanna dil mai dabi hai,,,

Ke usaka kabhi ahshash kar pau,,

Uski aankho se kabhi bah pau..!

Hathon mai rahu lakeere banker,,

Dil mai uske guzar pau..!!

Ek tamanna dil mai dabi hai,,,


Ek tamanna dil mai dabi hai,,,


Dhundh sa chha jau, usaki hashen aankho pe,,

Toot ke bikhar jau, uski pyari si baton pe..!

Wo kya samjhe, wo kya jane, wo yu anjan se rahte hai,,

Hum jeete hai na marte hai, aur rahte hai begano se..!!

Ek tamanna dil mai dabi hai,,,