Sunday, May 22, 2011

Mai apne hisse ka pyar kar chukka hu..!!


Mai en raston se guzar chukka hu,,

Es do-rahe pe aakar thahar chukka hu..!

Ab aur kuch baki nahi KASAK ke pass,,

Mai apne hisse ka pyar kar chukka hu..!!


Ab tujhe dene ko kuch na raha,,

Zindagi ka diya sab kuch saha..!

Entzar karta raha mai teri barisho ka,,

Aur tune har bar kuch aur hi kaha..!!


Tanhai ki dhoop mei ab jal chukka hu,,

Mai apne hisse ka pyar kar chukka hu..!!


Ab nahi chahiye teri mahar-vaniya,,

Ab nahi chahiye mudatto ki viraniya..!

Ab mai khus hu tanha aur akela,,

Ab nahi chahiye bheek mai zindganiya..!!


KASAK ko aur na maro, ab mai mar chukka hu,,

Mai apne hisse ka pyar kar chukka hu..!!

Mai apne hisse ka pyar kar chukka hu..!!

No comments: