Yun to lagta he ke,
Ulfat-e-muhabbat badi aashan hoti he..!
Hothon se mukammil,
Dilon ki bhi sayad Ek pyari si juban hoti he..!!
Hum be-bazak hi kho gaye, duniya ke andheron mai,,
Jab ki unke name se hi to humari pahchan hoti he..!!
Ab khuda ka arman manu, ya bande ki guzarish sunu,,
Kya yahi kas-ma-kas hi zindagi ki mahman hoti he..!!
Es ulfat ke andhere me ye sazar ka tufan kaisa he,,
Ke ab use pane ki tamanna bhi hairan hoti he..!!
Aaj to shans le aur thoda jee le, ye marti hue zindagi,,
Kabhi-kabhi hi teri kismat tujhpe maherwan hoti he..!!
Sambhal ja, Pata nahi kab badal jaye KASAK tera sanam,,
Badle hue sanam ki mahfile bhi biran hoti he..!!
No comments:
Post a Comment