Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jo roj mere pass aakar,
Mere kano mai rash gholte the.
Jo roj apne pankhon se,
Mere jeevan ki khushiya tatolate the..
Aaj shayad unke pass rang nahi hai,
Mere sapno mai bharane ke liye..
Aur na shayad wo khushiyo ke par,
Mere dil mai utarane ke liye..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinki chah-chahati aawaj se,
Meri subaha hoti thi..
Aur sham ko jinki louri sunke,
Mere aankhen soti thi..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jo naraj to hote the hamse,
Par pyar bhi karte the..
Aur jab dil mai dard hota tha,
To aankhon se gujarate the..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinse guftagu karte-karte,
Mera din gujarata tha..
Jinse milne ke liye mai,
Din rat sabarata tha..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jo ab kisi aur ke ho gaye hai..
Kal-talak to yahi the, par aaj kho gaye hai..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Jinme meri jan basti hai,
Jinse KASAK ki hasti hai..
Jab the to ahashash tha,
Aaj aankhe tarasati hai..
Mai un parindo ko khoj raha hu..
Mai un parindo ko khoj raha hu..