Friday, June 24, 2011

Es kadar kas-pe-kas mai lagata chala gaya…!!!


Nafarat mili par pyar mai karta chala gaya,,,,

Es tarah dhuyen ka karwa badhta chala gaya…!!!


Aandhiyon mai bah gai he us waqt ki tasveer,,,,

Khozane ko us disha mai badhta chala gaya…!!!


Kas-ma-kas mai ek kas mai bhi dikhti he zindgi,,,,

Es kadar kas-pe-kas mai lagata chala gaya…!!!


Har taraf dhuyan hi dhuyan he dekhta hu jahan,,,,

Zindgi ko es dhuye se bujhata chala gaya…!!!


Wo jo karte the baten pyar ko pane ki,,,,

Wo chhod kar pyar ko dhan pata chala gaya…!!


Es tarha dhah gaya tha mera aashiyan “KASAK”,,,,

Jo sabke gharon mai thokar mai lagata chala gaya…!!!

No comments: